Importance Of Blessed Night Shab e Barat – 15 Shaban Ki Raat



Importance Of Blessed Night Shab e Barat

It was narrated From ‘Ali bin Abu Talib (Radi allahu anhu) that the Messenger of Allah peace be upoon him said: When it is the night of the middle of Sha’ban, spend its night in prayer and observe a fast on that day. For Allah descends at sunset on that night to the lowest heaven and says: ‘Is there no one who will ask Me for forgiveness, that I may forgive him? Is there no one who will ask Me for provision, that I may provide for him? Is there no one who is afflicted by trouble, that I may relieve him?’ And so on, until dawn comes.

(Sunan Ibn Majah, Vol 1 , Book 5, # 1388 )

It was narrated that Aishah radi allahu anha said: I missed the Prophet peace be upon him one night, so I went out looking for him. I found him at Al-Baqi’, raising his head towards the sky. He said: O Aishah, were you afraid that Allah and His Messenger would wrong you? She said: I said: ‘No, it is not that, but I thought that you had gone to one of your other wives.’ He said: ‘Allah descends on the night of the middle of Sha’ban to the lowest heaven, and He forgives more than the numbers of hairs on the sheep of Banu Kalb.

Sunan Ibn Majah, Vol 1 , Book 5, # 1389

It was narrated from Abu Musa Al-Ash’ari that the Messenger of Allah peace be upon him said Allah looks down on the night of the middle of Sha’ban and forgives all His creation, apart from the idolater and the Mushahin.

Sunan Ibn Majah, Vol 1 , Book 5,#1390

Hadith In Urdu:

Jab Nisf Shaban ( 15 Shaban) ki raat ho to raat ko ibadat karo aur dusrey din roza rakho.

Hazrat Ali bin talib Radi-Allahu-Anhu farmatey hain ki jab Nisf Shaban ( 15 Shaban) ki raat ho to raat ko ibadat karo aur dusrey din roza rakho isliye ki iskey Ghrub-e-Shamsh se Fajar tulu honey tak aasman-e-duniya par Allah subhanahu nuzul farmatey hain aur kahtey hain ki koi Maghfirat ka talabgar hai ki main uski maghfirat karu , koi rozi ka talabgar hai ki main usko rozi du , koi beemar hai ki main use beemari se aafaiyat du , hai koi aisa , yahan tak ki Fajar tulu ho jati hai.

(Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1388 (Hasan Shawaheed from 45 Rivayat )

Aayesha Radi-Allahu-Anha se rivayat hai ki ek raat maine Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ko bistar par na paya to unki talash mein nikli aur dekha ki aap jannatul baqi mein aasman ki taraf sir uthaye huye hain Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne faramaya ki Aayesha kya tumhey ye khayal hai ki Allah aur uska Rasool tum par zulm karengey mainey arz kiya mujhe aisa koi khayal na tha bulki mainey samjha aap apni kisi biwi ke baas gaye hongey to aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam ney farmaya ki Allah subhanahu Nisf Shaban ( 15 Shaban) ki raat aasman-e-duniya par nuzul farmatey hain aur banu kalb ki bakriyon se bhi zyada logo ki bakhshis farma detey hain. ( banu kalb ek kabeeley ka naam tha jiskey pass tamam arab se bhi zyada bakriya thi)

Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1389 ( Hasan Shawaheed from 35 rivayat )

Abu Musa Al-Ashari Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya Allah subhanahu nisf Shaban ki raat ( 15 shaban) ko tamam makhluq ki bakhshis farma detey hain siwaye shirk karney waley ke aur keena rakhney wale ke.

Sunan Ibn Majah

One thought on “Importance Of Blessed Night Shab e Barat – 15 Shaban Ki Raat

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Search Life Of Muslim

Categories

Subscribe Us:

Enter your email address to subscribe Life Of Muslim and receive notifications of new posts by email.

Tags